Yeh game apko sikhata hai ke kaise:
Yeh cards kya hain?
Apke saamne 30 qadamon par mushtamil ek dilchasp safar hai jo ap aur apke bachay ke darmiyan bharosa aur qurbat mazboot karne ke liye tayyar kiya gaya hai.
Yeh safar qadam ba qadam apki rehnumai karega taake ap na sirf apne bachay ko behtar samajh sakein, balkeh khud ko bhi naye andaaz se jaan sakein.
Hamara mashwara yeh hai ke har teen din baad ek activity ki jaye, lekin ap apni sahulat aur raftaar ke mutabiq bhi is safar ko tay kar sakte hain.
Is safar ka asal raaz pabandi aur khulay dil ke saath is mein shamil rehna hai. Chahein to calendar ka istemal karein—mukammal hone wale steps par nishan lagaiye, apni chhoti chhoti kamyabiyan celebrate kijiye, aur un activities ko dobara zaroor kijiye jin ka apke rishtay par sab se gehra asar hua.
1. Bilkul bhi dabao na daalein. Agar apka bacha tayyar na ho, to yeh bilkul theek hai. Usay thoda waqt dein ya koi aur card aazma kar dekhein. Ho sakta hai kuch arsay baad us ki dilchaspi khud-ba-khud paida ho jaaye.
2. Dil se suniye. Na jaldi karein, na phone istemal karein aur na hi baat kaat kar islah karein. Bas poori tawajjo aur dil se un ke saath maujood rahein.
3. Tanqeed ya muqabla nahi. Na apna muqabla kisi aur se karein aur na hi apne bachay ka. Yeh safar sirf apke rishtay ke liye hai, kisi muqable ke liye nahi.
4. Jazbaat fitri hote hain. Agar achanak gehre jazbaat saamne aa jaayein, to foran unhein badalne ya theek karne ki koshish na karein. Kabhi kabhi sirf un ke saath baith jana, galay lagana aur itna keh dena hi kaafi hota ha kei: "Main apke saath hoon."
5. Perfection se zyada garmjoshi ko ahmiyat dein. Maqsad "perfect" walidain banna nahi, balkeh mohabbat aur khuloos ke saath apne bachay ke liye maujood rehna hai. Aur yahi sab se qeemti baat hai.
Yeh game save kar lein —
link khud ko ya apne pyaron ko bhejein.